2024-07-05 00:00:00
Bhartiya kisano ko apne kheti ke liye Krishi Network-Kisaan App par bharosa hai. Kai Kisano ne is krishi app ko download kar ke rate kiya hai kheti ke liye sabse shrestha Kisan App Humara Agri app kheti aur bagwani sambandhit har samasya ka samadhan dene ke liye jaana jaata hai.pragatisheel kisan Rozana Kisan App ko Mandi Bhav, Mausam ka Purvanuman, Jaisi Jaankari ke liye istemal karte hain.
Krishi Network bhartiya Kisano ko pragatisheelta ke path par aage badhne aur unhe apne vyapar athwa rozgaar ko Swabhiman ke saath nibhane mein sahyog karta hai. Kisano ke har Sawal ka Jawab minuto mein. Yeh hamara sankalp bhi hai aur dharm bhi.
Krishi App kaise karta hai aapki sahayata Unnat kheti mein?
Hamare kisan saathi agriapp ki madad se kheti mein koi bhi naya prayog atmavishwas ke saath kar sakte hain. Unhe yahan par kheti samandhit jankari nishulka uplabdh karai jaati hai. Fasal aur kheti se juda har gyan uplabdh hai, jaise beez ka chayan, beez upchaar, beez ki kisam, mitti jaanch, mitti aur jameen ki tayyari, nursery, paudhe ya beez ki tayyari ewam ropan, jaivik aur rasaynik, ewam ropan, jaivik aur rasaynik urwarak ka chayan, sinchai, fasal suraksha, keetnashak, fafundinashak, katai, paidawar, bhandaran. Iske alawa kisan, kisan app par aas pass ke mausam ki jankari, mandi bhav bhi dekh sakte hain. Krishi Network app pe chune hue fasal, kheti aur bagbani ke anusar chetawni bhi di jaati hai.